Sunday, 28 August 2011

Sadqa Fitr Wajib

*FAIZAN-E-EID*
Eid-ul-Fitr Ki Subh-e-Sadiq Toolu Hoty Waqt Jo Sahib-e-Nisaab Ho, Os Per 'Sadqa Fitr' Wajib Hai...
(AALAMGIRI)
V#1, P#192.

"MADANI CHANNEL"

Shab-e-Qadr Mubarak

*27V RAMAZAN MUBARAK*
"Jis Nay Shab-e-Qadr Me Iman Or Ikhlas K Sath Qiyaam Kiya, To Os K Umer Bhar K Guzashta Gunah Muaf Kr Diye Jain Gay"
(BUKHARI)
V#1, H#2014

27V Shab Ramzan, Shab-e-Qadr

Hazrat Obai Bin Ka'ab, Hozor Ghous-e-Azam Shaikh Abdul Qadir Jilani, Hazrat Abdullah Bin Umer 27V Shab Ramzan Ko Shab-e-Qadr Mantay
(FAIZAN-E-SUNNAT)
V#1 P#1162

Shab-e-Qadr

*FAIZAN-E-QURAN*
"BeShak Hum Nay Isy (Quran Ko) Shab-e-Qadr Me Utara. Or Tum Nay Kiya Jana, Kiya Shab-e-Qadr? Shab-e-Qadr 1000 Mahinon Say Behtar"
(AL-QADR:2'3)

Ghusay Ka Ilaj

*FAIZAN-E-HADIS*
"Jub Tumhain Ghusa Aye, to Khamosh Ho Jaya Kro."
(JAHANAM MAIN LAY JANY WALY AAMAAL)
V#1, P#209.

Keep Watching
MADANI CHANNEL

Luqtay Ka Maal

*BAHAR-E-SHARIYAT*
V#2, P#12
"Luqta (Gira Para Maal) Kahin Mila, Or Ye Khiyal Ho K Main Is K Maalik Ko Talash Kr K Dy Dun Ga, To Utha Lena Mustahab (Acha) Hai."

Rashk

*FAIZAN-E-HADIS*
"Momin Rashk Krta Hai, Jub-Kay Munafiq Hasad Krta Hai."
(KASHF-UL-KHIFA)
V#2 P#263 H#2693
For Services in English
Join
madaniesms.blogspot.com

*AHKAAM-E-ITIKAF*

*AHKAAM-E-ITIKAF*
Itikaf K Liye Roza Shart Hai, Roza Torr Deny, Ya Toot Janay Say, Dono Suraton Main Itikaf b Toot Jaye Ga...
(FAIZAN-E-SUNNAT)
V#1, P#1234.

Allah ki Madad

*FAIZAN-E-QURAN*
"Aye Iman Walo! Agr Tum Deen-e-Khuda Ki Madad Kro Gy, ALLAH Tumhari Madad Kry Ga."
(MUHAMMAD:7)

Plz Visit,
www.dawateislami.net

Monday, 22 August 2011

Niyyat Amal Say Behtar

*FAIZAN-E-HADIS*
"Musalman Ki Niyyat, Os K Amal Say Behtar Hai."
(TABARANI MOAJAM KABEER)
V#6, P#185, H#5942
For Madani English,
Visit,
madaniesms.blogspot.com

Sunday, 21 August 2011

Tangdasti Ka Ilaj

*ROHANI ILAJ*
"Jo Shakhs DastarKhwan K Neechy Giray Howe Tukron Ko Chun Chun Kr Khaye Ga, Wo TangDasti Say BeKhouf Ho Jaye Ga."
(FAIZAN-E-SUNNAT)
V#1, P#263.

Garift Kin Per?

*FAIZAN-E-QURAN*
"Mowakhaza (Garift) To Unhi Per Hai, Jo Logon Per Zulm Krty Hain, Or Zamin Me Na-haq Sarkashi Phailatay Hain."
(ASH-SHURA:42)

"MADANI CHANNEL"

Saturday, 20 August 2011

Tamam Pichlay Gunah Muaf

*FAIZAN-E-ITIKAF*
"Jis Shakhs Nay Iman K Sath Sawab Hasil Krny Ki Niyyat Say Itikaf Kiya, Os K Tamam Pichly Gunah Bakhsh Diye Jain Gy."
(JAMIA SAGHEER)
H#8480.

2 Hajj Or Umray Ka Sawab

*FAIZAN-E-HADIS*
"Jis Nay Ramzan-ul-Mubarak Main (10 Din Ka) Itikaf Kr Liya, Wo Aisa Hai, Jaisy 2 Hajj Or Umray Kiye."
(SHU-BUL IMAN)
V#3, P#425, H#2966.

Friday, 19 August 2011

Itikaaf Kub Say..??

*AL-QURAN*
"Or Hum Nay Takeed Frmai, Ibrahim-o-Ismail Ko, K Mera Ghar Khob Suthra Kro Tawaf Walon Or Itikaf Walon Or Roku-o-Sojod Walon K Liye"
(AL-BAQARAH:125)

*FAIZAN-E-ITIKAF*

*FAIZAN-E-ITIKAF*
NABI KAREEM Ramazan K Aakhri Ashra(10 Din) Ka Itikaf Frmaya Krty.
(BUKHARI)
V1 H2026

Apne City K Faizan-e-Madina Me Itikaf Ki Baharain Lotain

Thursday, 18 August 2011

Pehalwan Kon?

*FAIZAN-E-HADIS*
"Pehlawani Logon Ko Pichar Deny Main Nahi, Bal-Kay Pehalwan To Wo Hai, Jo Gusa K Waqt Apne Ap Per Qabu Pa Lay."
(BUKHARI)
P#516, H#6114.

Makhan Kay Sath Khajor

*FAIZAN-E-SUNNAT*
"Makhan K Sath Khajor Khana Bhi Sunnat Hai."
(SUNAN IBN-E-MAJA)
V#4 H#3334

For Madani English Service, Plz Visit,
madaniesms.blogspot.com

Wednesday, 17 August 2011

Touba Ka Inaam...

"Mgr Jo Touba Kry, Or Iman Laye, Or Acha Kaam Kry, To Aaison Ki Buraiyon Ko ALLAH Bhalaiyon Say Badal Day Ga. Or ALLAH Bakhshnay Wala Mehrban Hai"
(QURAN 25:70)

*BAHAR-E-SHARIYAT*

*BAHAR-E-SHARIYAT*
Taraveeh Agr Fout Hoi (Chot Gai) To Uski Qaza Nahi...
(DUR-UL-MUKHTAR)
V#2, P#494.

Apni Zakat, Sadaqat, Fitrana etc Dawateislami Ko Dijiye..

Tuesday, 16 August 2011

*MADANI INFORMATION*

*MADANI INFO*
Hazrat Fatima Ka Wisaal 3 Ramazan, 11 Hijri Ko Howa...

For Services in English, Please visit Our blog,
madaniesms.blogspot.com
JazakALLAH...

Jahanam Haram...

*FAIZAN-E-HADIS*
"Her Aasani Paida Krny Waly, Narm or Khush Guftaar Shakhs Per Jahanam Haram Hai."
(TIRMAZI)
P#1902, H#2488.

Monday, 15 August 2011

Dil Ki Bimari Ka Ilaj...

*MADANI PHOOL*
Dil Ki Bimari Or Kala Motiya K Liye, Khajor Ko Gutali Smait (Sath) Koot Kr (Pees Kr) Khana Mufeed Hai...
(FAIZAN-E-SUNNAT)
V#1, P#1021
4wd 2 Odrs

Saturday, 13 August 2011

Aazadi Mubarak...


Khuda Kry, K Meri Arz-e-Pak Per Utray,

Wo Fasl-e-Gul Jisay Andaisha-a-Zawal Na Ho...

"Youm-e-Aazadi Mubarak"
...

Love Pakistan,
Live Pakistan,
Build Pakistan...

Namaz Tark Kerna...

*FAIZAN-E-HADIS*
"Farz Namaz Jan Boojh Kr Na Chorna, Kiyon-Kay Jo Jan Boojh Kr Namaz Chor Daita Hai, Us Say Amaan Utha Li Jati Hai."
(IBN-E-MAJA)
H#4034.

Hazar Saal Ibadat Say Behtar..

*FAIZAN-E-OLIYA*
"Mery Nazdik Sunnat Ki Pairvi Hazar Saal Ki Ibadat Sy Behtar Hai."
-Hazrat Shaikh Sharaf-u-Din (Baba Bulbul Shah)
(FAIZAN-E-SUNNAT)
V#1 P#996

Buland Rutba Kitaab...

*FAIZAN-E-QURAN*
"Wo Baland Rutba Kitaab (QURAN) Koi Shak Ki Jaga Nahi. Is Main Hidayat Hai Dar Walon Ko"
(AL-BAQARAH:2)

Keep Watching,
MADANI CHANNEL

Friday, 12 August 2011

Ziyada Tolna...

*FAIZAN-E-HADIS*
"Jub Koi Cheez Tolo to Ziyada Tool Diya Kro."
(JAMI-UL-HADIS)
V#1, P#237, H#1577.

Give Ur Zakat, Sadaqat, & other Donations to dawateislami...

Sunnat-e-Ramazan...

*FAIZAN-E-SUNNAT*
"Jub Mah-e-Ramazan Aata, To NABI KAREEM Her Qaidi Ko Raha Kr Daity, Or Her Saail (Sowal Krny Waly) Ko Ataa Fermaty"
(FAIZAN-E-SUNNAT)
V1 P878

Thursday, 11 August 2011

Allah Kay Hain...

*FAIZAN-E-QURAN*
"BeShak ALLAH Ny Musalmanon Sy Un K Maal Or Jan Kharid Liye Hain, Is Badlay Per K Un K Liye Jannat Hai"
(At-Taubah:111)

facebook.com/madanisms

*AHKAAM-E-ROZA*

*AHKAAM-E-ROZA*
"Rozay Main Bholy Say Khana Kha Rahy Thy, Ya Pani P Rhy Thy, Yaad Aaty Hi Phaink Diya
To Roza Na Gya, Agr Nigal Gaye To Gya"
(AALAMGERI)
V1 P203

Wednesday, 10 August 2011

1000 Rakat Namaz Say Behtar...

*FAIZAN-E-HADIS*
"Subho K Waqt Tera Ilm Ki 1 Baat Seekhna, 1000 Rakat Namaz Parhnay Say Acha Hai, Khwa Os Per Amal Ho, Ya Na Ho."
(IBN-E-MAJA)
V#1, P#142, H#219

Tuesday, 9 August 2011

Rah-e-Khuda Main Kharch...

*FAIZAN-E-QURAN*
"Or ALLAH Ki Raah Main Jo Kuch Kharch Kro Gay, Tumhain Pora Diya Jaye Ga. Or Kisi Tarha Ghaatay (Loss) Main Na Raho Gay."
(AL-ANFAL:60)

1st Ghazwa...

*MADANI INFO*
Pehla Islami Ghazwa "Ghazwa-a-Badar" 12 Ramazan, 2 Hijri Main Paish Aya.

For Madani English Service, Jion our Facebook page,
"Madani SMS English"

Monday, 8 August 2011

Iftari Kerwany Ka Sawab...

*FAIZAN-E-HADIS*
"Jo Kisi RozayDaar Ko Iftari Krwaye Ga, Osay RozaDar Ka Sawab Diya Jaye Ga. Or RozaDar K Sawab Me B Kuch Kami Na Ki Jaye Gi"
(IBN-E-MAJA)
H1746

Traveeh...

*FAIZAN-E-TRAVEEH*
"Traveeh Her Aqil-o-Baligh Musalman (Mard-o-Aurat) K Liye Sunnat-e-Mokkada Hai."
(DURR-E-MUKHTAR)
V#2, P#493.
www.dawateislami.net

Sunday, 7 August 2011

Zehar Ka Ilaj...

*ROHANI ILAJ*
HADIS: "Ajwa Khajoor Jannat Say Hai. Is Main Zehar Say Shifa Hai."
(TIRMAZI)
H#2073

Coming Soon on Facebook,
"MADANI SMS ENGLISH"

Saturday, 6 August 2011

Jannat Main Dakhila Mana...

*FAIZAN-E-HADIS*
"Bad-Ikhlaq Aadmi Jannat Main Dakhil Na Hoga."
(TIRMAZI)
P#1847, H#1946.

*Coming Soon*
MADANI SMS SERVICE in English...

Ramzan Khair Hi Khair hai...

*FAIZAN-E-SAHABA*
"Os Mahinay ko Khush AamDeed Hai, Jo Hmain Pak Krny Wala Hai. Pora Ramazan Khair Hi Khair Hai."
-Hazrat Umer Faroq
(FAIZAN-E-SUNNAT)
V#1 P#871

Friday, 5 August 2011

Khajor Say Sahari Sunnat Hai...

*FAIZAN-E-SUNNAT*
"Khajor Or Pani Say Sahari Krna Sunnat Hai."
HADIS: "Khajor Momin Ki Behtareen Sahari Hai."
(ABU DAWOOD)
V#2, P#443, H#2345

"MADANI CHANNEL"

Thursday, 4 August 2011

*FAIZAN-E-QURAN*

"To Tum Main Jo Koi Ye Mahina (Ramzan) Paye, Zaror Is Kay Rozay Rakhy, Or Jo Bimar Ya Safar Me Ho, To Utny Rozay Or Dinon Me."
(AL-BAQARA:185)

*AHKAAM-E-ROZA*

Sahari Ka Niwala Moo Main Tha, K Subh-e-Sadiq (Azan-e-Fajr) Ka Waqt Ho Gya, Phir b Niwala Nigal Liya To Kaffara Wajib Hai.
(AALAMGIRI)
V#1 P#203

Wednesday, 3 August 2011

*FAIZAN-E-QURAN*

"Ramadhan Ka Mahina, Jis Me Quran Utra, Logon K Liye Hadayat, Or Rahnumai, Or Faisla Ki Roshan Baatain."
(AL-BAQARA:185)

"MADANI CHANNEL"

*MADANI PHOOL*

"RAMZAN Sharif Main Iftar Or Sahari K Waqt Dua Qabol Hoti Hai... Yani Iftar Krty Waqt Or Sahari Kha Kr."
(FAIZAN-E-SUNNAT)
V#1 P#863
Plz Pry4us..

Tuesday, 2 August 2011

*FAIZAN-E-IFTAR*

HADIS: "Hmesha Log Khair K Sath Rahain Gay, Jub Tak Iftar Main Jaldi Krain Gay."
(BUKHARI)
V#1, P#645 H#1957

Invite Ur Frndz to Join this blog

*FAIZAN-E-SAHAR*

HADIS: "Sahari Khaya Kro, Kiyon Kay Sahari Main Barakat Hai."
(BUKHARI)
V#1, P#633, H#1923.
Plz Join,
facebook.com/madanisms

Monday, 1 August 2011

*RAMZAN MUBARAK*

"Jub Ramzan Ki Pehli Raat Aati Hai, To Aasmanon Or Jannat K Drwazay Khol Diye Jaty Hain. Or Aakhir Raat Tak Band Nhi Hoty"
(SHU-BUL IMAN)
H3635

*FAIZAN-E-QURAN*

"Aye Iman Walo! Tum Per Rozay Farz Kiye Gye, Jaisy Aglon Per Farz Howe Thy, K Kahin Tumhain PerhaizGaari Mily."
(AL-BAQARA:183)

MADANI CHANNEL

*BAHAR-E-SHARIYAT*

Ch5 P115
Ramzan Ka Chand Dekh Kr UsKi Taraf Ungli Sy Ishara Krna Makrooh Hy Chahy Dosry Ko Batany K Liye Ho Q.k Ye Ahl-e-Jahiliyat Ka Amal Hy